September 8, 2024

Rohaniyat O Amliyat

Rohaniyat o amliyat par yah hamara pahla article hay. Rohaniyat o amliyat aik dusray say bohat zayada munsalik terms hein. amliyat kay andar hum mukhtalif kisam kay rohani amliyat kartay hein yah noori amliyat wo hein jin mein Allah kay asma ko makhsoos andaz mein parha jata hay. yah sara sar rohaniyat hi hay.

Rohaniyat o amliyat hi wahid rasta hay jis say hum apnay mojuda masael say chutkara pa saktay hein. jee han hum aksar yah baat kartay hein kah hamaray tamam masael ka hal siasat ya maeeshat mein nahi balkah rohaniyat mein hay. Aaye rohaniyat kay be baha sumandar mein say chand qatray aap bhi uthaiye aur phir bataein kaisay aap ki zindagi mein inqilab aata hay.

Rohaniyat O Amliyat

Rohaniyat o amliyat kay zariye koi aisa masla nahi jis ka hal na hota ho. darasal rohaniyat o amliyat mein Allah ka pak kalam parha jata hay. aur Allah kay pak kalam mein itni takat hay kah yah pathar ko mom kar sakta hay, yah hawao ka rukh morr sakta hay, dariyao ko rok sakta hay aur dariyao ko jari kar sakta hay.

Rohaniyat O Amliyat

aik waqia aap logo ki khidmat mein pesh karta hon. Ameer ul momineen Hazrat Umar Ibn e Khitab ka dor e hakoomat tha. logo nay shikayat ki kah daryae neel hamein bohat tang karta hay. har saal is mein aik kanwari larki ki qurbani deni parti hay phir yah chalta hay. Hazrat Umar Ibn E Khitab (R.A) nay farmaya is saal koi zarurat nahi hay larki ki qurbani denay ki. balkah aik khat diya aur us mein likha

“Aye darya e neel agar tou apni marzi say chalta hay tou hamein teri koi zarurat nahi hay. Aur agar tou Allah ki marzi say chalta hay tou chal par warna teray liye mera korra hi kafi hay”

aap (R.A) nay farmaya kah jo ghora sawar yah khat lay kar jay wo tez tareen ghora lay kar jay aur khat darya mein dalnay ka baad tezi say wapis aye. aur aisa hi huwa jab ghorray sawar nay khat phenka tou darya rawan ho gaya aur aaj tak kabhi nahi ruka.

Jee han yah rohaniyyat ki takat hay. Sirf zarurat hay kamil yaqeen ki aur aitiqad ki. Agar aap ka yaqeen kamil hay aur aitiqad mazboot hay tou dunya ko koi takat aap ka kaam honay say nahi rok sakti.

Rohaniyat O Amliyat

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *