September 8, 2024

Dua For Istikhara In Urdu

Dua for istikhara is article mein di gai hay. lekin aap sirf yah dua urdu mein parh kar istikhara nahi kar skatay. yani arbi kay baghair sirf urdu mein parh kar aap istikhara nahi kar saktay. lekin hum nay reference kay liye yahan urdu mein dua e istikhara day di hay.

yaad rakhein istikhara karna bohat hi acha kaam hay aur Islam mein recommended hay. lekin mazrat kay sath mein aap ko yah bata dun kah istikhara karna koi asan kaam nahi hay. kion kah istikhara karnay ka aik makhsoos tareeka hay sirf dua parh lenay say istikhara nahi hota.

Dua For Istikhara In Urdu

is kay ilawa istikhara karnay kay baad aap kay kaam kay mutaliq aap ko khawab aata hay. yah khawab samjhna aasan kaam nahi hay. kion kah khawab mein sirf ishara hota hay aur us isharay ko samjhna har kisi kay bas ki baat nahi hay. hamaray aik jananay walay sahab nay isi tarha istikhara kia aur jo khawab aaya unho nay us mein mojud isharay kay mutabiq kaam kar dala lekin wo ishara sahi nahi samjh paye thay.

is ki misal aisay hay kah aap ko koi kaam karna hay aur aap us kay liye istikhara kartay hein. aap ko khawab mein shair (Lion) nazar aata hay. aap sochtay hein shair (Lion) khatarnak janwar hay is liye hamein yah kaam nahi karna chahiye. Lekin aik khawab ki tabeer samajhnay wala hi yah baat janta hay kah khawab mein shair ko dekhna Mola Ali (A.S) ko dekhna hota hay. jo kah aik mubarik khawab hay aur wo kaam karna bohat acha hay.

Dua For Istikhara In Urdu

is tarha kay kai aur khawab hein jin ki taber ko samjhna har kas o nakis ka kaam nahi hay. tow hum aap ko yahi recommend karen gy kah kisi bhi apni marzi kay aamil say istikhara karwaein. Wo istikhara bhi karay ga aur aap ko us ka result bhi bataye ga kah aap ko kia karna chahiye.

han aik baat zehan mein rakhein kah ya tow istikhara bilkul na karwaein aur apni marzi karein, lekin aik baar agar aap istikhara karwa lein tow phir us kay mutabiq amal karna bohat zaruri hota hay warna ulta nuqsan ka andesha hota hay.

Istikhara ki Dua in Urdu darj zel hay.

Dua For Istikhara In Urdu

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *